covid 19

Yeah bat hai 27 June 2020 ki agle din ki off-day ki khusi leke rat mein sone mein thodi der hui.
Subha K 4 baz rahe honge jab mere phone ki cheekh suni, nind mein khalal ko nazar-andaaz krne ki chah ne mujhe phone ko silent krne pe majboor kiya or maine yahi kiya jo adhe mere hue haal mein krna munasib laga. 
Maine aisa isliye kaha kyun ke nind ko adhi mout kahte hai. 
Thodi der baad mere dil ki bechaini ne mujhe jhinjhonr K jagaya maine apne phone ki traf dekha to mere dil ki dhadkan kafi tez hogayi.
Maine iss pahle apne mobile mein 43 miss call kab dekha tha yaqeenan mujhe yaad nahi. 
Mai 43 miss call ki tafseel ko dekhta mere darwaze pe ik dastak hui. 
Mera hanth darwaze ki kundi ki traf badhta us se pahle meri nigahon ne ghari tak ka fasla tay kr liya tha 6:12 horahe thein uswaqt. 
Maine fauran darwaza khola toh samne se parvez rota hua dikha,
Mai uss se kuchh puchhta us pahle usne mujhe kah diya
"Bhaiya, jaldi chaliye sarup Bhai... 
Sarup Bhai... "
Agay ki agay ki kahani mai apko sunao uss se pahle yeah bata du K yeah sarup mere bachpan ka dost hai jo pichhle 2 dino se bukhaar mein mubtala tha.
Maine Parvez ka hanth pakda or apne shots mein hi chahre pe mask laga kar nikal pada.
Jab mai sarup K paas pahuncha to woh behad taklif mein tha kuchh chikhein suni uski maine akhri baar.
Mukhe dekh K uske pareshan chahre ne ik chhoti si muskaan di mujhe,maine ishare mein kaha K fiqar not mai Hun Na. 
Kuchh der ki mashware k baad maine ik cab bulayi or hm 5 log sharukh leke hospital k liye nikal pade.
Waise to hm 4 hi thein lekin maine 5 isliye kaha kyun K mai Cab driver ko uncount nahi kr sakta tha. 
Hospital pahunchte hi offocial formilities karne K bad Dr. ne usay ward no. 18 mein shift kr diya jahan maine apne dost ko uss bimaari ki halat mein akhri baar Dekha.
Dr.ne mujhe dilasa dete hue kaha K ap log bahar jaiye hmlog dekh lenge kuchh test krne honge including Covid 19.
Maine bahar aakar uncle ko nashta K liye approach kiya lekin wo meri kahan sunne wale thein,jaise taise maine unhe sambhala or thodi deri k liye ghar jane ki ijazat mangi or ghar K liye nikal pada.
Ghar pahunchte hi maine thode undue kaam kiye jaisa K apko hoga gaya K day-off matlab bahut sare pending kamo ka schedule.
Shaam 7 bze:
Mere mobile mein hospital mein mazood ik shakhs ne mera number dail kiya mere pas ring bajte hi maine furaan green button Dabaya. 
Samne wale ne ik postive word ka istemaal kr K ab tak ki sabse negative bat batayi. 
Yes! 
Sarup tested positive (Covid 19).
Maine inkaar krne ki chah to ki lekin izahar jurrat na kr Saka. 
Mujhe yeah khafar thi K West Bengal K north 24th parganas K covid postive patient ka elaaj Kolkata Medical College mein horaha hai. 
Meri yeah jankaari sahi sabit hui jabse usne mujhe bataya K apke dost ko Medical veja jaraha hai but no family members allowed to travel with him in Ambulance 🚑.
Usdin raat kab adhra dur hua kab chidyaa ne gaaana suru kiya mujhe kuchh hosh nahi.
2 din isi trah se guzre but finally 
1 tarikh (July) ko mujhe hospital se ik achhi khabar mili k mera dost pahle se behtar hai,or jald hi corona se jung ladke ghar wapis ane wala hai. 
Mai chahta to bahut tha K hospital ja K Dr. Se baat kr K dil ko aur itmenaan diya jaye lekin main majboor tha mai 14 days ka Quarantine mein apne akele khali kamre mein sarul K sath bitaye purani yadon mein masruf tha. 
July 2:-
Subha 11 baze or kaam ka behaad pressure maine parvez ko rutine call kiya or uske sath kiye hue conversation ne mujhe kam mein bahut energy Di. 
Parvez ne mujhe bataya K sarup ne uss se bat ki or wo tezi se improve kar raha hai.
Wasim ne mujhe kaha K aj hamare pas kuchh new challenges hai maine kaha TL don't worry I am Ready to face every challenges or kaam mein lag gaya. 
12 baze mere phone ki screen ne yeah naksa dikhaya mujhe 
Walid Saab * Calling.... 
Main Hello K bad kuchh kahta K abba ne ghabrayi awaaz mein mujhe wo kahdiya jo mai kabhi sonch v nahi sakta tha. 
"Kiya tumhe khabar mili K sarup nahi raha ",abba 


Maine bahut hi calm answer krte h abba yeah sab log rumour felate hai meri baat hui parvez se sab thik hai or abba bhi relax hogye.
Maine dobara kam mein lag gaya. 
Itte mein mere mobile mein maine Arif ka number dial kiya or kuchh puchhne hi wala tha 
Arif, "Bhai sarup ka inteqaal hogya ".
Maine pani akhon K ansu ko jazbe krte hue puchha K yeah kab hua? 

Mujhe pata nahi k yeah kaise kab hogya.
Lekin mujhe yaqeen hogaye K bade buzurg ne sahi kaha hai K 4 din ki jindagi hai 
28 ko maine dost ko dekha or 2 ko wo meri ankho se hamesha k liye ojhal hogya...

Mere dil o zehan mein hazaro lafz safar krr rahe hain lekin na Qalam na meri zuban mera sath derhi hai.
I miss you Sarup Samani(02-05-1993 to 02-07-2020).






Comments

Popular Posts