Maqaan

Kapda Roti or meri kahani ka unwaan,
Kuchh logo ki jarurat,
Kuchh logo ka shaouq 
Or kuchh logo ki Hasratein... 
Haan hasratein,jante ho to K hasrat ik mazeed lafz ka azafa kyun kiya gaya,
Jab ke iska hamnaam mane wala lafz pahle se mauzud tha,Khawahish/Chahat.

Khawahis or Hasrat lag bhag ik maa K do  bete hai bus inme thodi sa inteshar hai.

To pahle khawahish se suru krte hai,
Lekin mai koshish karunga K dono lafz K mane apko ik baar hi mein samjh ajaye.
Hamari jo chahat puri hosakti hai usay Khawahish kahte hain. 
Or jab Hamare aware dil me aisi  khawahish  ko Di jisko hasil karne wala shakhs aj take tareekh mein paya na gaya ho jisay duniya Na-Mumkin kahti hai. 
To hamari wo Namumkin khwahishein Hi Hasrat kahlati hain.

Meri Maa  mujhse aksar kahti thi K mujhe ik chiz ki bahut Hasrat hai,
Mai puchha karta tha *ki Maa! bolo Ma amaye*(What do you want please tell me Mom).
Unhone ne kaha ki
"Meri Hasrat K mera apna _______ ho!
Kiya his khali jagah ko bharna chahrhe ho, 
To mere unwaan kar us jagah ko pur Karo. 
Maine unse kaha K ap Hasrat na kaho,
Ap isay khawahish kaho Na,
Ham apki yeah khawahish jarur puri karenge Maa Wada Raha!

Such a good son na! 

Jitta achha mai beta tha undino utta hi immature person bhi,
Mujhe nahi malum tha Ke maine jo wada kiya usay paana itta mushkil hai.
Aj mai 26 saal ka hogaya or mujhe malum hua K mene jindagi mein kitte khokle wade kiye.
Lekin kahte hai na K jindagi mein jo hota hai wo achhe K liye hote hai.
Or jo bura hota hai wo expirence K liye hota,or wo expirence kabhi na kabhi hamare kaam jarur ata hai.

Mere sath bhi aisa hi kuchh hua.

Apne kiya soncha maine ghar kharid liya.?

Nahi nahi abhi nahi  abhi karo intezaar! 
Phir ap yeah to nahi sonchrhe K phir mere sath achha kiya hua? 
Mere sath yeahi achha hua K mujhe aqal agayi or ab mein bina sonche samjhe waday nahi karte! 

Someone said-
Jindagi asaan nahi hoti 
Isay Asaan banani padti hai 
Kuchh nazar andaaz kr K 
Kuchh bardasht kr k


To be continued.... 

Comments

Popular Posts